Kya ab sirf nuclear deterrence he Iran ke survival ka last option reh gaya hai?
Summary:
IAEA ke mutabiq, Iran ab nuclear threshold ke qareeb hai. Attack hone ke baad, duniya ko poochhna chahiye: kya Iran ko bhi bomb bnana chahiye? Is issue ka asar sirf Iran-Israel nahi, balkay poori Gulf aur Eurasian stability par ho sakta hai.
Naya Nuclear Flashpoint
Jab Iran ka sabr toot gaya
Ceasefire ke sirf 10 din baad, IAEA aur international watchdogs ka kehna hai ke Iran ab nuclear weapon se sirf hafton ka faasla rakhta hai. Pehle jo timeline saalon mein thi, ab weeks mein gini ja rahi hai. Sawal yeh hai: kya Iran ko nuclear power banna chahiye?
Jab ek mulk do nuclear powers – US aur Israel – se attack ho, to self-defense ke liye har option explore karna uska haq banta hai. North Korea ki tarah deterrence doctrine Iran ko bhi annihilation se bacha sakti hai.
Pariah se Power banne ka safar?
Iran ka nukes ki taraf rujhan irrational nahi
Iran, jo ke aik hardline theocracy hai, uski nukes ki taraf rujhan purely survival-based hai. Yeh woh mulk hai jo ek pro-West monarchy ko hata kar Islamic Republic bana, aur tab se US aur Israel ki hit list par hai.
Iran ne un militant groups ko support kiya jo Israel ke khilaf kharay hain, is wajah se hostility aur zyada barh gayi. Gulf ke Arab neighbors bhi uneasy hain, not just due to sectarian reasons, balkay Iran ke historical influence aur unki revolutionary identity ki wajah se bhi.
Gulf mein chain reaction ka khatra
Agar Iran nuclear ban gaya, to Saudia bhi pichay nahi rahe ga
Agar Iran ne nuclear weapons bana liye, to Saudi Arabia bhi zarur follow karega. Already, Riyadh nuclear power agreements discuss kar raha hai US ke sath under the guise of clean energy.
UAE ke paas 4 nuclear reactors hain. Russia Iran ke Bushehr plant mein madad kar raha hai. Qatar apni concerns raise kar chuka hai. Jab ek mulk enrichment seekh jata hai, weaponization sirf political will ka mamla reh jata hai.
Agar Gulf nuclear ho gaya, to yeh duniya ka sabse volatile region ban sakta hai — already India aur Pakistan jese powers yahan hai. Yeh chain reaction ek nuclear Armageddon la sakta hai.
Jarr se masla solve karna important hai
Peace sirf Palestine se shuru ho sakta hai
Middle East ki instability ka core issue hai Arab-Israel conflict. Abraham Accords ne kuch normalize kiya, lekin Saudi Arabia ne condition rakh di hai: jab tak Gaza mein jang khatam nahi hoti aur two-state solution accept nahi hota, tab tak Israel se full diplomatic ties nahi banenge.
Iran-Israel hostility bhi isi unresolved issue se link hoti hai. Agar Palestine ka masla solve ho jaye, to region mein tension dramatic taur pe reduce ho sakti hai.
Agar tables turn ho jayein?
Kya Israel aur Iran dono disarm kar sakte hain?
Agar kal ko Israel ke neighbors uske sath aman mein hoon, to kya phir bhi usay nukes ki zarurat hogi? Aur agar Iran aur Israel dono international pressure mein aa kar mutual disarm kar lein?
Brazil, South Africa, Argentina aur Ukraine jese mulkon ne voluntary nuclear rollback kiya. Yeh possible hai — lekin sirf agar fairness, respect aur courage ho.
Ek ticking nuclear domino
Eurasia ek spark door hai extinction se
Agar har mulk apni protection ke liye nuclear weapons chahega, to ek chain reaction ho sakta hai jisme Russia, China, India, Pakistan, Iran, Turkey, Saudi Arabia aur UAE sab involve ho jaenge.
Yeh corridor duniya ka most dangerous zone ban sakta hai. Germany bhi, jo apne nuclear plants band kar chuka tha, ab dobara consider kar raha hai nukes ko — sirf energy insecurity ki wajah se.
Ek misstep aur humanity apna khatma khud likh sakti hai.
Ek faislay ka waqt
Disarmament aur development ka balance zaroori hai
Climate change ke zamanay mein nuclear energy aik hope hai. Lekin peaceful energy aur nuclear weapons ka balance zaroori hai. Especially Middle East ko dispute resolution ka aik strong, fair mechanism chahiye.
Agar US, China aur Russia apne interests ke bajaye global peace ke liye lead karen, to ye sab possible hai. Pehla step? Comprehensive peace. War ka alternative ab unthinkable hai.